jo bhī kuchh tāq-e-ḳhayālāt pe rah jaate haiñ
ziist ke ḳheme usī baat pe rah jaate haiñ
sham-e-sā.at ne bahut aks tarāshā lekin
kuchh hayūle dar-e-zulmāt pe rah jaate haiñ
dil ne to lashkar-e-shādāb sambhālā hai magar
ḳhār-o-ḳhas phir bhī makānāt pe rah jaate haiñ
tishnagī aisī ki dariyā kā lahū pī kar bhī
sabr ke qarz mukāfāt pe rah jaate haiñ
raqs-e-nāhīd sar-e-shāḳh tamāsha na huā
ā.īne hosh ke jab haath pe rah jaate haiñ
kab talak sīna-e-sad-chāk kā mātam hogā
sab ruke tesha-e-hālāt pe rah jaate haiñ
kaise tārīḳh bane koī hikāyat 'āmir'
hāshiye aaj bhī safhāt pe rah jaate haiñ