ham ki sarmāya-e-īqān liye baiThe haiñ
azmat-e-ḳhāk tirī shaan liye baiThe haiñ
kitne be-rañg fasīloñ ko qabā.eñ deñge
sab ke sab tañgī-e-dāmān liye baiThe haiñ
merī shah-rag kā lahū laakh mushāhid Thahre
sāhib-e-shahr to farmān liye baiThe haiñ
shauq meñ sūrat-e-takmīl-e-hunar kī ḳhātir
ham bhī ā.īna-e-imkān liye baiThe haiñ
phir dar-o-bām pe qindīl saje bhī to kyā
zau-shikan raat kā sāmān liye baiThe haiñ
ab bhī ummīd-e-kaf-e-pā-e-talab raushan hai
zindagī ham tirā ehsān liye baiThe haiñ
terā chehra kabhī utrā nahīñ dekhā 'āmir'
aa.ine aaj bhī armān liye baiThe haiñ