fishār-e-tīrah-shabī se sahar nikal aa.e
siyāh ret pe koī shajar nikal aa.e
maiñ apnī zaat kī dīvār par huuñ mahv-e-qalam
bhale hī sūrat-e-mehrāb-o-dar nikal aa.e
shikasta ḳhvāb ke reze zamīn-e-vahshat se
barahnagī kī qabā oḌh kar nikal aa.e
mire gumān ke dīpak na jal sake shab-bhar
pas-e-yaqīñ jo jale beshtar nikal aa.e
nigāh-e-shīsha-e-hasrat meñ qaid ho jaate
ye aur baat ki ham vaqt par nikal aa.e
maiñ sañg-e-yās pe tahrīr kar rahā thā kuchh
ki lafz chand baḌe mo'atabar nikal aa.e
siyāh raat kī tasvīr par shikan se abhī
ajab nahīñ hai ki 'āmir' nazar nikal aa.e