Amir Nazar

zamin ke jism pe yun yurish-e-qaza kab tak

Amir Nazar

Patna, Bihar, India

1990
zamīñ ke jism pe yuuñ yūrish-e-qazā kab tak
falak-nashīnoñ yūñhī ġham kā silsila kab tak
abhī se uThne lage haiñ savāl ke lashkar
to phir ai raqs-e-fusūñ shor-e-be-sadā kab tak
sitāre apnī ziyā kā libās de na sake
urūs-e-shab ke badan par phaTī ridā kab tak
tamām umr lahū kā ḳhirāj baḳhsheñge
rahegā tauq-o-salāsil se vāsta kab tak
havā.eñ shāḳh-e-falak se sadā lagātī haiñ
ġhubār-e-rāh meñ rah pā.egī anā kab tak
sukūt-e-shām se ghabrā na ai shafaq-tābī
rukā rahegā bhalā shab kā qāfila kab tak
likho bhī lamha-e-be-tan pe zindagī 'āmir'
likhoge apne muqaddar kā marsiya kab tak
Top Urdushayar.com