ḳhema-e-jāñ ko jo dekhūñ to sharar-bār lage
tār-e-shabnam bhī yahāñ sho.aloñ kā bāzār lage
ek hasrat pas-e-dahlīz-e-anā baiThī rahī
koī to aa ke rukā ho dar-o-dīvār lage
chashm-e-pur-āb meñ bahtī thī siyāhī shab kī
dhuup kā raqs mujhe aur girāñ-bār lage
kyā huā manzar-e-maujūd kī peshānī ko
zard pattoñ kī tarah sāya-e-ashjār lage
merī vahshat kā lahū chaaT chukī hai duniyā
ab tamāshā-e-ḳhirad sūrat-e-āzār lage
merā chehra hai kisī qabr kā katba 'āmir'
dil kī āvāz bhī ab shor-e-azādār lage