Amir Nazar

nuqta-e-be-nur ne minhaj-e-imkan kar diya

Amir Nazar

Patna, Bihar, India

1990
nuqta-e-be-nūr ne minhāj-e-imkāñ kar diyā
tīliyoñ ke raqs ne itnā to ehsāñ kar diyā
dekhnā baaqī thā goyā ā.inoñ kā intishār
zindagī ko sañg-zādoñ ne pareshāñ kar diyā
ai sharar terī nigāh-e-kaif kā thā mo.ajiza
tīra-tan dasht-o-jabal ko rū-e-tābāñ kar diyā
jab mire atrāf-e-nādīda fasīleñ khīñch diiñ
mere ehsāsāt ko sham-e-farozāñ kar diyā
ahd-e-rafta kī tarāshīda nigāheñ kyā milīñ
sā.at-e-be-ḳhvāb ko bhī maiñ ne hairāñ kar diyā
sañg-rezoñ kī anā se kab mujhe thā inhirāf
is liye lamhoñ ko 'āmir' shīsha-e-jāñ kar diyā
Top Urdushayar.com