bosīda sahī zeb-e-qabā tak nahīñ aatī
be-pairahan-e-jāñ ko hayā tak nahīñ aatī
ā.īna ajal kā yuuñ tah-e-ḳhāk paḌā hai
marqad kī fasīloñ se ziyā tak nahīñ aatī
gum-karda-e-idrāk meñ paivast jabīneñ
dar-chashm-e-yaqīñ bū-e-vafā tak nahīñ aatī
sahrā kī jabīnoñ pe ho shādābī to kaise
in sho.aloñ pe shabnam kī ridā tak nahīñ aatī
dil rif.at-e-dastār kī qāmat pe magan hai
be-tābī-e-manzil kaf-e-pā tak nahīñ aatī
hañgāma-e-auqāt bhī hai raqs-e-fusūñ bhī
imkān kī chaukhaT pe sadā tak nahīñ aatī