ek ik tār-e-nafas āshufta-e-āhañg thā
ab ki bāzār-e-dar-o-dīvār kā kyā rañg thā
paikar-e-ḳhāshāk kī dīda-varī pighlī kahāñ
Dūbte sūraj kā dāman ḳhvāb-gāh-e-sañg thā
kab talak poshīda rahtī hasrat-e-shahr-e-talab
vaqt kī dīvār par ā.īna-e-nairañg thā
ahd-e-rafta kī bahut koshish rahī ho sulh phir
lamha-e-betāb āmāda barā-e-jañg thā
pattharoñ ne is tarah kī zaḳhm kī chāragarī
dekh kar dīvār vahshat kā bhī chehra dañg thā
ek din oḌhī thī dil ne āhanī chādar kabhī
ab talak 'āmir' mire ġham par nishān-e-zañg thā