darūn-e-jism kī dīvār se ubhartī hai
koī lakīr hai jo TūTtī bikhartī hai
maiñ intishār kī kuchh aur talḳhiyāñ pī luuñ
zabān-e-shahr na.e zā.iqoñ se Dartī hai
falak ke darmiyāñ apnī sadā kareñ mahfūz
ki har darīche pe āvāz jā ke martī hai
koī to sarhad-e-ḳhāmosh toḌ saktā thā
sukūt-e-shām yahāñ tah-ba-tah utartī hai
vo ik shuā-e-barahna hai shab ke ziine par
so merī aañkh bhī is par kahāñ Thahartī hai
navāh-e-zīst kā sūraj to Dhal gayā 'āmir'
tamīz-e-ḳhāk magar ab bhī raqs kartī hai