mauj-dar-mauj to sāhil kī ragoñ par dauḌe
pyaas bujh paa.ī nahīñ laakh samundar dauḌe
shahr-e-īqān kā har katba gavāhī degā
vaqt kī piiTh pe ummīdoñ ke lashkar dauḌe
mere ehsās kī chaukhaT pe utar aa.e haiñ
chand zarre jo sar-e-rāh machal kar dauḌe
tīrgī aaj tirī zor ko ham dekheñge
haath meñ nuur liye tiira muqaddar dauḌe
log sachchā.ī ko taslīm kareñge 'āmir'
taḳhta-e-dār kī jānib jo tirā sar dauḌe