kuchh sulagte hue ḳhvāboñ kī farāvānī hai
shahr-e-ehsās meñ ā.inda kī tābānī hai
sā.at-e-shām kā darvāza pighal jā.egā
chashm-e-umnīd meñ vo sho.la-e-imkānī hai
jism par apne bhī poshāk sambhāle rakhiye
sīna-e-dasht pe utrī shab-e-uryānī hai
kab talak TūTtī sāñsoñ pe sadā.eñ rakhūñ
halqa-e-zīst kī zanjīr bhī lāya.anī hai
ab kahāñ jā ke ye zardāb nazar Thahregī
duur tak phailī huī sarhad-e-vīrānī hai
lauh-e-be-rañg pe to aks-e-ḳhudī raushan hai
paikar-e-ḳhāk ke chehre pe pareshānī hai
tar-ba-tar ho ga.e hālāt ke chehre 'āmir'
ahl-e-dāmān-e-ḳhirad par baḌī hairānī hai