Idris Babar

matla ghazal ka ghair zaruri kya kyun kab ka hissa hai

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
matl.a ġhazal kā ġhair zarūrī kyā kyuuñ kab kā hissa hai
zindagī chokleT cake hai thoḌā thoḌā sab kā hissa hai
ab jo bar meñ tanhā piitā huuñ coffē ke naam pe zahr
us kī talḳh sī shīrīnī meñ us ke lab kā hissa hai
lok kahāniyoñ meñ mā-ba.ad-e-jadīd kī pesh-āmad jaise
fiction kī re-cell value meñ maz.hab kā hissa hai
ke-pī-ke afghanistan hai aur balochistan īrān
sindh hai chiin meñ aur pyārā punjab arab kā hissa hai
sohnī yā sohne se pahle haq hai ghaḌe par paanī kā
kab se ghaḌī meñ jab aur tab se zyāda ab kā hissa hai
maanā hijr kī raat hai ye par kitnī ḳhushī kī baat hai ye
ġham kī rim-rim-jhim kī hamdam bazm-e-tarab kā hissa hai
cab chalāne vaale daajī tab chalāne vaalā saajī
vo jo adab kā hissa the to ye bhī adab kā hissa hai
tai huā nazm hī mustaqbil hai pān-sau bil hai bha.ī pyāro
aañkh na maaro ġhazal hamāre hasab-nasab kā hissa hai
ik din jab būḌhe painter ke paas sharāb ke paise nahīñ the
chhat par ye ghanghor ghaTā tab se is pub kā hissa hai
sex jo pahle sāḳhtiyātī roz-o-shab kā hissa thī
ab māba.ad-e-sāḳhtiyātī roz-o-shab kā hissa hai
qāfiya bahr radīf vaġhaira jaise harīf zarīf vaġhaira
in ko ThanDā soDa pilāo bhaa.ī ye kab kā qissa hai
Top Urdushayar.com