dīda-e-tar ne ajab jalvagarī dekhī hai
ġham ne jis shāḳh ko paalā vo harī dekhī hai
haa.e kis but kī ḳhudā.ī kā bharam TuuTā hai
ḳhalq ne aaj in āñkhoñ meñ tarī dekhī hai
na milā par na milā ishq ko andāz-e-junūñ
ham ne majnūñ kī bhī āshufta-sarī dekhī hai
āb-o-gil ġhuncha-o-gul dīda-o-dil shams-o-qamar
kin hijāboñ meñ tirī parda-darī dekhī hai
haañ kabhī khul na sakā phuul pe mazmūn-e-bahār
o sabā ham ne tirī nāma-barī dekhī hai
kaun asīr-e-ġham-e-kotāhī-e-parvāz nahīñ
kis ne sayyād kī be-bāl-o-parī dekhī hai