ġham-e-habīb ġham-e-do-jahāñ nahīñ hotā
agar ḳhulūs-e-vafā be-karāñ nahīñ hotā
diloñ kī aag baḌhāo ki log kahte haiñ
charāġh-e-husn se raushan jahāñ nahīñ hotā
tirī nigāh-e-karam hī kā ye asar to nahīñ
jahāñ meñ ham pe koī mehrbāñ nahīñ hotā
shu.ūr-e-manzil-e-maqsūd bhī hai shart-e-safar
hujūm-e-rāh-ravāñ kārvāñ nahīñ hotā