Anvar Moazzam

Dubte taron se puchho na qamar se puchho

Anvar Moazzam

Aurangabad, Bihar, India

1929
Dūbte tāroñ se pūchho na qamar se pūchho
qissa-e-ruḳhsat-e-shab sham-e-sahar se pūchho
kis ne bahlāyā ḳhizāñ ko gul-e-tar se pūchho
gul pe kyā guzrī bahāroñ ke jigar se pūchho
kaun royā pas-e-dīvār-e-chaman āḳhir-e-shab
kyuuñ sabā lauT ga.ī rāhguzar se pūchho
raat bhar diip sar-e-rāh jale kis ke liye
kyuuñ añdherā thā bhare ghar meñ qamar se pūchho
kis ke dāman se lagī nik.hat-e-gul rotī hai
kaun hotā hai judā jī ke nagar se pūchho
ek āvāz to gūñjī thī ufuq-tā-ba-ufuq
kārvāñ gum hai kahāñ gard-e-safar se pūchho
Top Urdushayar.com