Anvar Moazzam

hamein bhula nahin afsana dil ka

Anvar Moazzam

Aurangabad, Bihar, India

1929
hameñ bhūlā nahīñ afsāna dil kā
abhī hāthoñ meñ hai paimāna dil kā
dhuāñ uThtā nazar aatā hai har-sū
abhī ābād hai vīrāna dil kā
jahāñ bikhrī hai ab ḳhākistar-e-dil
usī jā thā kabhī kāshāna dil kā
abhī tak yaad haiñ vo din ki jab thā
har ik āvāra ġham dīvāna dil kā
vo ummīdoñ kā ik halkā tabassum
dhaḌak uThnā vo betābāna dil kā
kisī aañsū kī ġham hotī sadā par
larazna Dūbnā ghabrānā dil kā
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-jāñ
har ik manzil pe thā nazrāna dil kā
khile jaate the gul har har qadam par
kahīñ bhī qāfila Thahrā na dil kā
tilism-e-rañg-o-bū thā TūTne tak
Thikāna phir na thā gul kā na dil kā
udhar armāñ idhar ehsās-e-hirmāñ
chhuTā kis moḌ par yārāna dil kā
hameñ bāda-kash-e-dard-e-tamannā
hamīñ par band hai mai-ḳhāna dil kā
Top Urdushayar.com