Anvar Moazzam

ye qissa-e-gham-e-dil hai to bankpan se chale

Anvar Moazzam

Aurangabad, Bihar, India

1929
ye qissa-e-ġham-e-dil hai to bāñkpan se chale
kisī nigāh pe Thahre kisī badan se chale
na jaane kis ke karam se khile kalī dil kī
sumūm-e-dasht se uThe sabā chaman se chale
vo aa.e dil meñ to yuuñ jaise shaam kā taara
misāl-e-māh sitāroñ kī anjuman se chale
fasāne chāk-e-garebāñ ke paḌ ga.e phīke
junūñ kī baat kabhī tere pairahan se chale
hujūm-e-sub.h kī tanhā.iyoñ meñ Duub ga.e
vo qāfile jo añdheroñ kī anjuman se chale
Top Urdushayar.com