zaḳhm-e-nazāra ḳhūn-e-nazar dekhte raho
jo kuchh dikhā.e dīda-e-tar dekhte raho
chashm-e-sadaf ke dard se sarf-e-nazar karo
kis tarah TūTte haiñ guhar dekhte raho
shāyad kisī kā naqsh-e-kaf-e-pā chamak uThe
ai rahnumāo rāhguzar dekhte raho
gesū-e-shab sañvārne vaalo kabhī kabhī
ā.īna-e-nigār-e-sahar dekhte raho
āñkhoñ meñ ghul na jaa.eñ kahīñ zulmatoñ ke rañg
jis samt raushnī hai udhar dekhte raho