ye ġhazal kī anjuman hai zarā ehtimām kar lo
kisī ġham ko mai banā lo kisī dil ko jaam kar lo
kahāñ sub.h-e-ġham kā sūraj kahāñ shaam kā sitāra
isī ruḳh pe zulf bikhre yahī sub.h-o-shām kar lo
vo habīb ho ki rahbar vo raqīb ho ki rahzan
jo dayār-e-dil se guzre use ham-kalām kar lo
ye kahāñ ke mohtasib haiñ ye kahāñ kī maslahat hai
jo unheñ nahīñ mayassar vahī shai harām kar lo