Anvar Moazzam

aao dekhen ahl-e-wafa ki hoti hai tauqir kahan

Anvar Moazzam

Aurangabad, Bihar, India

1929
aao dekheñ ahl-e-vafā kī hotī hai tauqīr kahāñ
kis mahfil kā naam hai maqtal khiñchtī hai shamshīr kahāñ
chhūT na pāoge dil vaalo chāhat ke is zindāñ se
chāho to dil TuuT bhī jaa.eñ TūTegī zanjīr kahāñ
chashm-e-sahar meñ aas umiid kyā aañsū kī ik buuñd nahīñ
yuuñ dāman phailā.e chale haiñ rātoñ ke rahgīr kahāñ
sadiyoñ ke pahchāne ḳhvāboñ se bojhal in āñkhoñ ko
anjāne ḳhvāboñ ke shahr meñ le aa.ī ta.abīr kahāñ
ik vīrāna ek shajar kuchh saa.e do pyāsī āñkheñ
dekheñ sajegī din ke makān meñ raat kī ye tasvīr kahāñ
vaqt kā dariyā le bhī gayā vo sab jo dil-o-jāñ se thā aziiz
DhūñDh rahe ho sāhil par ab aañsū kī tahrīr kahāñ
Top Urdushayar.com