Shah Husain Nahri

aane-jaane ka hai ye rasta kyun

Shah Husain Nahri

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1941
āne-jāne kā hai ye rasta kyuuñ
hai bichhaḌnā agar to milnā kyuuñ
haath aayā to phir parinda kyā
aur uḌā jo kahīñ to merā kyuuñ
kis farishte kī baat karte ho
jab burā hī nahīñ vo achchhā kyuuñ
ho ke nārāz mujh se kahte haiñ
zulmatoñ ke liye ho ḳhatra kyuuñ
kyuuñ nahīñ dekhtā havā kā ruḳh
'shāh' bantā hai phir nishāna kyuuñ
Top Urdushayar.com