badan-darīda-o-be-barg-o-bār honā bhī
mire hī vāste phir sharmsār honā bhī
nazar uThā.ūñ maiñ jab jab bhī dasht-e-shab dekhūñ
ajiib shai hai sahar kā shikār honā bhī
tarīq saare gumāñ ke qadam se lipTe haiñ
ki mere sar hai haqīqat-nisār honā bhī
mire hī naam pe manzil-rasī ye Thahrī hai
mire liye hī magar pā-figār honā bhī
maiñ us zamīn kā vāris huuñ 'shāh' ye bhī hai
mire nasīb meñ hijrat-shi.ār honā bhī