Shah Husain Nahri

bhare-pure se makan mein bhi shah tanha hai

Shah Husain Nahri

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1941
bhare-pure se makāñ meñ bhī 'shāh' tanhā hai
ridā-e-shab ke kināre pe ek taarā hai
bas ek lamha thā haa.il tujhe bhulāne meñ
ye kis maqām pe terā ḳhayāl aayā hai
tamām gard hai chehra thakī thakī āñkheñ
udāsiyoñ kā ye bādal bahut ghanerā hai
shab-e-siyah meñ hai terī hī yaad kā lapkā
nigāh Thokareñ khātī hai ghup añdherā hai
nazar kī raah meñ be-manzarī sī phailā kar
vo ik sitāra sar-e-shām Duub jaatā hai
vo ek lamha-e-be-iḳhtiyār jab maiñ ne
tujhe chhuā thā mirī uñgliyoñ meñ jaltā hai
us ek vahm ne zinda rakhā kabhī merī
nazar kā lams tujhe gudgudāne vaalā hai
ḳhudā ko sauñp ke ruḳhsat huā thā tū mujh se
mujhe ḳhudā hī ne ab tak sambhāl rakkhā hai
tū aaj sāmne aa.e to kaise pahchānūñ
mirī nazar meñ to ab tak vahī sarāpā hai
Top Urdushayar.com