dil ke ghuTne ko ishārā samjho
dahr ye apnā ḳhasārā samjho
ye bhī mumkin hai ki tum duur ke log
is alaav ko sitāra samjho
ye bhī ik mauj hai miTTī kī sahī
vaqt kam hai to kinārā samjho
par nahīñ hote ḳhayāloñ ke to phir
kaise uḌte haiñ ġhubārā samjho
kise ma.alūm ḳhazāna mil jaa.e
koī naqsha to dobāra samjho
khet rul jā.eñge pāgal-pan meñ
jañg kaisī mujhe haarā samjho