bayāñ apnā dukh ab kiyā jaa.e nā
bayāñ ke binā bhī jiyā jaa.e nā
masarrat mile dekhne kī use
tasavvur bhī jis kā kiyā jaa.e nā
kahāñ hai tū ai muntazir marg-e-man
ki ab mujh se tujh bin jiyā jaa.e nā
bahut zaḳhm khaa.e mirī aañkh ne
darīda ye manzar siyā jaa.e nā
qadam chūmtī hai zamīñ merī 'shāh'
magar mujh se badla diyā jaa.e nā