Shah Husain Nahri

na-guzir-e-rishtagi sa hai to ho

Shah Husain Nahri

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1941
nā-guzīr-e-rishtagī sā hai to ho
varna mujh se kyā ilāqa hai to ho
vo mujhe dekhe na maiñ pā.ūñ use
ab koī merā shanāsā hai to ho
pur-kashish haiñ rāste ke pech-o-ḳham
chain paane kā Thikānā hai to ho
sāmne haiñ āsmānī vus.ateñ
be-zamīnī kā zamāna hai to ho
chehra-e-ehsās par hai tāzgī
aadmī honā purānā hai to ho
nāzukī ik gul-badan kī saath hai
ab agar pahlū meñ kāñTā hai to ho
apnī bantī hī nahīñ hai 'shāh' se
aadmī ye shaḳhs achchhā hai to ho
Top Urdushayar.com