rivāyatoñ ke abhī āftāb baaqī haiñ
sharāfatoñ ke abhī māhtāb baaqī haiñ
ye maanā ham ne ki āzād ho chuke lekin
abhī ġhulāmī ke ham par azaab baaqī haiñ
unhī ke dam se hai raunaq yahī haiñ sarmāya
bikherte hue ḳhushbū gulāb baaqī haiñ
ye tarjumān-e-hayāt-e-bashar haiñ dekho to
ubharte phūTte ab bhī habāb baaqī haiñ
haqīqatoñ se jo parda uThā huā ma.alūm
ba-nām-e-dost abhī tak sarāb baaqī haiñ