aañkh ke parde ke pīchhe ik samāñ rah jā.egā
aag ke sho.ale bujhe tab bhī dhuāñ rah jā.egā
kyā ajab kal phir yaqīñ meñ shak kī āmezish mile
shak agar miT bhī gayā phir bhī gumāñ rah jā.egā
sirf hone ko fanā hai jo nahīñ us kī baqā
āsmāñ kuchh bhī nahīñ hai āsmāñ rah jā.egā
terī qurbat se hasīñ mausam bhī hai ḳhushbū bhī hai
qurbateñ gar na raheñ phir kyā yahāñ rah jā.egā
tujh se milne kī masarrat aur bichhaḌne kā malāl
hai masarrat aarzī soz-e-nihāñ rah jā.egā
jism ik ḳhālī makāñ thā aaj se ābād hai
ruuh jab uḌ jā.egī makāñ rah jā.egā
log kahte haiñ hisāb-e-dostāñ dar-dil shivad
aaj 'mirzā' ye maqūla bhī kahāñ rah jā.egā