azaab TuuTe diloñ ko har ik nafas guzrā
shikasta-pā the garāñ muzhda-e-jaras guzrā
hujūm-e-jalva-o-nairañgī-e-tamannā se
tamām mausam-e-gul mausam-e-havas guzrā
ajab nahīñ ki hayāt-e-davām bhī baḳhshe
vo ek lamha-e-furqat jo ik baras guzrā
ye maslahat ki kahīñ dahr hai kahīñ firdaus
vahī jo ālam-e-dil ham pe ham-nafas guzrā
ġham-e-ma.āl rahā arz-e-shauq se pahle
is ek baat pe kyā kyā na pesh-o-pas guzrā
kashākash-e-ġham-e-āzādī-o-asīrī meñ
har āshiyāñ pe koī ālam-e-qafas guzrā
rah-e-talab meñ haiñ dar-māñda rāhbar 'tābish'
yahī hai haal to ye qāfila bhī bas guzrā