zer-e-lab rahā naala dard kī davā ho kar
aah ne sukūñ baḳhshā āh-e-nā-rasā ho kar
kar diyā ta.ayyun se zauq-e-ijz ko āzād
naqsh-e-sajda ne mere terā naqsh-e-pā ho kar
fart-e-ġham se behis huuñ ġham hai ġham na hone kā
dard kar diyā paidā dard ne davā ho kar
ho chuke haiñ sil baazū hai na himmat-e-parvāz
ham rihā na ho paa.e qaid se rihā ho kar
hasrateñ nikaltī haiñ merī jaan jaatī hai
dam laboñ pe aatā hai harf-e-mudda.ā ho kar
ġham pe ġham mujhe de kar ġham se kar diyā mahrūm
kyā milā zamāne ko sabr-āzmā ho kar
ranj-e-aish hai baaqī ab na aish-e-ġham 'tābish'
kuchh ḳhabar nahīñ mujh ko rah gayā huuñ kyā ho kar