Tabish Dehlvi

sab gham kahen jise ki tamanna kahen jise

Tabish Dehlvi

Delhi, India

1911-2004
sab ġham kaheñ jise ki tamannā kaheñ jise
vo iztirāb-e-shauq hai ham kyā kaheñ jise
hai johd-e-munfarid sabab-e-kārobār-e-dahr
ik iztirāb-e-qatra hai dariyā kaheñ jise
ne.amat kā e'tibār hai husn-e-qubūl se
ishrat bhī ek ġham hai gavārā kaheñ jise
miltā nahīñ hai ahl-e-junūñ kā koī surāġh
bas ek naqsh-e-pā hai ki sahrā kaheñ jise
pahle hayāt-e-shauq thī allāh-re inqalāb
ab e'tibār-e-ġham hai tamannā kaheñ jise
hai mere kā.enāt-e-tasavvur kā ik fareb
vo jalva-e-ḳhayāl ki duniyā kaheñ jise
kuchh kam-nigāhiyāñ haiñ tajallī kī aaḌ se
aisī bhī ik nigāh-e-tamāshā kaheñ jise
tanhā.ī-e-ḳhayāl se 'tābish' ye haal hai
aisā koī nahīñ ki ham apnā kaheñ jise
Top Urdushayar.com