Tabish Dehlvi

bahut jabin-o-ruKH-o-lab bahut qad-o-gesu

Tabish Dehlvi

Delhi, India

1911-2004
bahut jabīn-o-ruḳh-o-lab bahut qad-o-gesū
talab hai shart-e-sukūñ ke hazār-hā pahlū
jo be-ḳhudī hai salāmat to mil hī jā.egā
barā-e-fursat-e-andesha yaar kā zaanū
hazār dasht-e-balā halqa-e-asar meñ haiñ
mirā junūñ hai ki chashm-e-ġhazāl kā jaadū
ye raaz khol diyā terī kam-nigāhī ne
sukūñ kī ek nazar dard ke bahut pahlū
sabā hazār kare bū-e-gul kī āmezish
na dab sakegī tire jism-e-nāz kī ḳhushbū
ik iztirāb-e-hasīñ hai fishār-e-tañgī-e-mai
kanār-e-shauq meñ tū hai ki daam meñ aahū
bahut hai ahl-e-basīrat ko ek jalva bhī
vafūr-e-tishna-labī ho agar to ḳham hai subū
junūñ aur ahl-e-junūñ kā vo qaht hai 'tābish'
uThā na dasht se phir koī na.ara-e-yāhū
Top Urdushayar.com