band-e-ġham mushkil se mushkil-tar khulā
ham se jab koī parī-paikar khulā
mil ga.ī vahshī ko saudā se najāt
dar khulā dīvār meñ yā sar khulā
jāñ-sitānī ke na.e andāz haiñ
haath meñ ġhamze ke hai ḳhanjar khulā
merī vahshat ne nikāle jab se paañv
ek sahrā sahn ke andar khulā
dekhne meñ vo nigāh-e-lutf thī
kis se pūchheñ zaḳhm-e-dil kyūñkar khulā
koī jaada hai na manzil hai koī
sab fareb-e-rāhī-o-rahbar khulā
hai qayāmat us kī mizhgāñ kā ḳhayāl
rakh diyā hai dil meñ ik nashtar khulā
ye zuleḳhā.i! ki yūsuf ke liye
misr kā bāzār hai ghar ghar khulā
nau-umīdī se bañdhī 'tābish' umiid
abr-e-ġham dil par bahut ghir kar khulā