sab ne mujh hī ko dar-ba-dar dekhā
be-gharī ne mirā hī ghar dekhā
band āñkhoñ se dekh lī duniyā
ham ne kyā kuchh na dekh kar dekhā
kahīñ mauj numū rukī to nahīñ
shāḳh se phuul toḌ kar dekhā
ḳhud bhī tasvīr ban ga.ī nazreñ
ek sūrat ko is qadar dekhā
ham ne us ne hazār sheva ko
kitnī nazroñ se ik nazar dekhā
ab numū pā.eñge diloñ ke zaḳhm
ham ne ik phuul shāḳh par dekhā