Tabish Dehlvi

ek jalwa ba-sad andaz-e-nazar dekh liya

Tabish Dehlvi

Delhi, India

1911-2004
ek jalva ba-sad andāz-e-nazar dekh liyā
tujh ko hī dekhā kiye tujh ko agar dekh liyā
jaise sar phoḌ ke mil jā.egī zindāñ se najāt
kyā junūñ ne koī dīvār meñ dar dekh liyā
baaz hai aaj talak dīda-e-hairāñ kī tarah
dasht-e-vahshat ne kise ḳhāk-basar dekh liyā
jurm-e-nazzāra kī paatā hai sazā dil ab tak
ahl-e-dil dekh liyā ahl-e-nazar dekh liyā
sūrat-e-naqsh-e-qadam dīda-e-mushtāq haiñ ham
jab bhī vo aayā sar-e-rāhguzar dekh liyā
yahī hasrat hai ki vo ek nazar dekh to le
aur us ne kabhī is samt agar dekh liyā
kahīñ parda hai tajallī kahīñ jalva hai hijāb
ye tamāshā bhī tirā zauq-e-nazar dekh liyā
roz ik taaza ġham-e-dahr hai nāzil 'tābish'
ek tūfān-e-balā ne mirā ghar dekh liyā
Top Urdushayar.com