mah-o-parvīñ tah-e-kamand rahe
kin fazāoñ meñ ham buland rahe
ġham-e-hastī se be-niyāz sahī
ahl-e-dil phir bhī dard-mañd rahe
chashm-e-uqda-kushā se bhī na khule
ham kuchh is tarah band band rahe
bar-sar-e-dār ham sahī lekin
harf-e-haq kī tarah buland rahe
husn kī ḳhud-numā.īyāñ tauba
muddatoñ ham bhī ḳhud-pasand rahe
mai-o-mastī nahīñ hai us pe harām
mai-kade meñ jo hosh-mand rahe
ham haiñ rahbar se do qadam aage
hausle shauq se do-chand rahe
dushmanoñ kā gilā nahīñ 'tābish'
dost bhī darpai-e-gazand rahe