Tabish Dehlvi

dekhiye ahl-e-mohabbat hamein kya dete hain

Tabish Dehlvi

Delhi, India

1911-2004
dekhiye ahl-e-mohabbat hameñ kyā dete haiñ
kūcha-e-yār meñ ham kab se sadā dete haiñ
roz ḳhushbū tirī laate haiñ sabā ke jhoñke
ahl-e-gulshan mirī vahshat ko havā dete haiñ
manzil-e-sham.a tak āsān rasā.ī ho jaa.e
is liye ḳhaak patañgoñ kī uḌā dete haiñ
sū-e-sahrā bhī zarā ahl-e-ḳhirad ho aao
kuchh bahāroñ kā patā ābla-pā dete haiñ
mujh ko ahbāb ke altāf-o-karam ne maarā
log ab zahr ke badle bhī davā dete haiñ
saath chaltā hai koī aur bhī sū-e-manzil
mujh ko dhokā mire naqsh-e-kaf-e-pā dete haiñ
zindagī marg-e-musalsal hai magar ai 'tābish'
haa.e vo log jo jiine kī duā dete haiñ
Top Urdushayar.com