dil koī ā.īna nahīñ TuuT ke rah gayā to phir
Thiik hī kah rahe ho tum Thiik na ho sakā to phir
us ko bhulāne lag ga.e is meñ zamāne lag ga.e
ba.ad meñ yaad aa gayā vo koī aur thā to phir
phuul hai jo kitāb meñ asl hai ki ḳhvāb hai
us ne is iztirāb meñ kuchh na paḌhā likhā to phir
rāste ajnabī se the peḌ the so kisī ke the
ye koī sochtā to kyuuñ aur koī sochtā to phir
ab use ḳhvāb jaan ke so raho lambī taan ke
yaad na aa sakā to kyā yaad bhī aa gayā to phir