har ik dāġh-e-dil sham.a saañ dekhtā huuñ
tirī anjuman zau-fishāñ dekhtā huuñ
ta.ayyun se āzād haiñ mere sajde
jabīñ par tirā āstāñ dekhtā huuñ
fareb-e-tasavvur hai qaid-e-qafas hai
har ik shāḳh par āshiyāñ dekhtā huuñ
maiñ rāh-e-talab kā huuñ pasmāñda rah-rav
ġhubār-e-rah-e-kārvāñ dekhtā huuñ
ba-andāza-e-zauq-e-īzā-pasandī
use aaj maiñ mehrbāñ dekhtā huuñ
pilā kar mujhe mahram-e-hosh rakkhā
ye e.ajāz-e-pīr-e-muġhāñ dekhtā huuñ
mirī zindagī mahram-e-ġham hai 'tābish'
nafas ko ba-rañg-e-fuġhāñ dekhtā huuñ