āġhāz-e-gul hai shauq magar tez abhī se hai
ya.anī havā-e-bāġh junūñ-ḳhez abhī se hai
josh-e-talab hī maujib-e-darmāñdagī na ho
manzil hai duur aur qadam tez abhī se hai
kyā irtibāt-e-husn-o-mohabbat kī ho umiid
vo jān-e-shauq ham se kam-āmez abhī se hai
tartīb-e-kārvāñ meñ bahut der hai magar
āvāza-e-jaras hai ki mahmez abhī se hai
pahlī hī zarb-e-tesha se koh-e-girāñ hai chuur
hasrat-ma.āl satvat-e-parvez abhī se hai
kyā jaane mai-kashoñ kā ho kyā hashr sub.h tak
saaqī kī har nigāh dil-āvez abhī se hai
ye ibtidā-e-shauq ye pur-shauq dil mirā!
ik jām-e-ātishīñ hai ki labrez abhī se hai
'tābish' bharī bahār meñ koī bichhaḌ gayā
ab ke chaman meñ bū-e-ḳhizāñ tez abhī se hai