Tabish Dehlvi

dhuMein machaen sabza raunden phulon ko pamal karen

Tabish Dehlvi

Delhi, India

1911-2004
dhūmeñ machā.eñ sabza rauñdeñ phūloñ ko pāmāl kareñ
josh-e-junūñ kā ye aalam hai ab kyā apnā haal kareñ
dasht-e-jāñ meñ ek ḳhushī kī lahr kahāñ tak dauḌegī
vasl ke ik ik lamhe ko ham kyuuñ kar maah o saal kareñ
jaan se baḌh kar dil hai pyārā dil se ziyāda jaan aziiz
dard-e-mohabbat kā ik tohfa kis kis ko irsāl kareñ
nañg-e-karam hai soz-e-alam se ahl-e-dil kī mahrūmī
dard-e-ishq matā-e-jāñ hai sāhib kuchh to ḳhayāl kareñ
mausam badle phir bhī hai āshob-e-visāl-o-hijr vahī
haal zamāne kā jab ye ho kyā maazī kyā haal kareñ
ruuh kī ek ik choT ubhāreñ dil kā ek ik zaḳhm dikhā.eñ
ham se ho to numāyāñ kyā kyā apne ḳhadd-o-ḳhāl kareñ
qarz bhalā kyā degā koī bhiik bhī milnī mushkil hai
nādāroñ kī is bastī meñ kis se jā ke savāl kareñ
har ik dard ko apnā jāneñ har ik ġham ko apnā.eñ
ḳhvāh kisī kī daulat-e-ġham ho dil ko mālāmāl kareñ
be-hunarī ko hunar kare ye ahl-e-hunar kā dushman hai
charḳh-e-kaj-raftār hai āḳhir 'tābish' ham bhī ḳhayāl kareñ
Top Urdushayar.com