is se pahle ki zamīñ-zād sharārat kar jaa.eñ
ham sitāroñ ne ye sochā hai ki hijrat kar jaa.eñ
daulat-e-ḳhvāb hamāre jo kisī kaam na aa.ī
ab kisī ko nahīñ milne kī vasiyyat kar jaa.eñ
dahr se ham yūñhī be-kār chale jaate the
phir ye sochā ki chalo ek mohabbat kar jaa.eñ
ik zarā vaqt mayassar ho to aa kar mire dost
dil meñ khilte hue phūloñ ko nasīhat kar jaa.eñ
un havā-ḳhvāhoñ se kahnā ki zarā shaam Dhale
aa.eñ aur bazm-e-charāġhāñ kī sadārat kar jaa.eñ
dil kī ik ek ḳharābī kā sabab jānte haiñ
phir bhī mumkin hai ki ham tum se muravvat kar jaa.eñ
shahr ke ba.ad to sahrā thā miyāñ ḳhair huī
dasht ke paar bhalā kyā hai ki vahshat kar jaa.eñ
reg-e-dil meñ ka.ī nādīda parinde bhī haiñ dafn
sochte hoñge ki dariyā kī ziyārat kar jaa.eñ