Imrana Mushtaq Mani

chali jo KHud se kabhi ho ke bad-guman hawa

Imrana Mushtaq Mani

chalī jo ḳhud se kabhī ho ke bad-gumān havā
bikhar ke rah ga.ī galiyoñ ke darmiyān havā
ajab nahīñ ki diye se shikast khā ke bhī
charāġh-pā na huī ab ke bad-zabān havā
guzishta raat kī dahlīz par sisakte hue
sunā rahī thī havāoñ ko dāstān havā
havā.eñ bāñdh rahā thā jo ek muddat se
phir ek roz vahī ho gayā makān havā
na jaane dhāre kisī vaqt ruup āñdhī kā
nishān chhoḌ na jaa.e ye be-nishān havā
ab aisā lagtā hai sāhil se aa lageñge ham
uḌā ke le ga.ī apnā to bādbān havā
mujhe yaqīn hai ek roz mere āñgan meñ
bikher jā.egī ḳhushbū-e-za.afrān havā
Top Urdushayar.com