Imrana Mushtaq Mani

karb ke sahra se guzra jab bhi diwana koi

Imrana Mushtaq Mani

karb ke sahrā se guzrā jab bhī dīvāna koī
muskurāyā shāḳh-e-nāzuk par chaman-ḳhāna koī
mausam-e-barsāt hai aur vajd meñ haiñ lāla-zār
dushmanoñ ke vaar se chhalkā hai paimāna koī
raat bhar rotī rahī be-sūd sham-e-ārzū
jab sar-e-mahfil chalā aayā hai parvāna koī
ajnabī bastī ke logoñ se zarā nazreñ milā
mil hī jā.egā yahāñ bhī jānā-pahchānā koī
ai dil-e-'mānī' yūñhī manzil kabhī miltī nahīñ
rāh-e-ulfat meñ diyā karte haiñ nazrāna koī
Top Urdushayar.com