Imrana Mushtaq Mani

unwan hazaron hain ghazal koi nahin hai

Imrana Mushtaq Mani

unvān hazāroñ haiñ ġhazal koī nahīñ hai
jhīloñ ke manāzir meñ kañval koī nahīñ hai
ai kaash koī dekhe mire zabt kā aalam
be-kal huuñ magar māthe pe bal koī nahīñ hai
har chand ke ham log haiñ firdaus ke ḳhāliq
duniyā meñ magar apnā mahal koī nahīñ hai
haq baat kaho jab bhī kaho jān-e-tamannā
ye baat hai vo jis kā badal koī nahīñ hai
hālāt kī daldal meñ dhañsiī jaatī hai 'mānī'
ab sākit-o-jāmid hai amal koī nahīñ hai
Top Urdushayar.com