TuuTe haiñ jab se zor junūñ kī tanāb ke
hasrat se dekhtī huuñ ye ḳheme shabāb ke
ai dil na chheḌ zikr usī ḳhush-ḳhirām kā
maiñ pī chukī huuñ ghol ke sho.ale gulāb ke
zindān-e-bazm-e-shauq meñ aise bhī riñd haiñ
tishna rahe jo pī ke samundar sharāb ke
ye bazm-e-chashm-o-lab hai mirī jaañ abhī na jā
baḌhne de rābte ye savāl-o-javāb ke
'mānī' na aaj pūchh vo kaise badal ga.e
rāh-e-junūñ meñ naqsh-e-qadam haiñ janāb ke