surāġh mujh se milegā na raunaq-e-shab kā
charāġh to huuñ magar bujh chukā huuñ maiñ kab kā
kahūñ zamīn to vo āsmāñ samajhtā hai
kabhī khulā hī nahīñ aadmī hai kis Dhab kā
ajiib Dhañg se thī justajū-e-zīst mujhe
piyāla jaise koī tishna garmi-e-lab kā
ḳhayāl-e-yār ke parde meñ ranj-e-duniyā thā
sunā gayā hai kuchh aisā hī qissa ham sab kā
uThe jo mahfil-e-duniyā se to huā ma.alūm
ki dāġhdār hai dāman yahāñ to ham sab kā
kiyā hai jis ne mujhe dar-ba-dar vo 'ġhāfil' hai
ki maiñ varaq huuñ isī ālam-e-murattab kā