tirī galī se guzarne ko sar jhukā.e hue
faqīr hujra-e-haft-āsmāñ uThā.e hue
koī daraḳht sarā.e ki jis meñ jā baiTheñ
parinde apnī pareshāniyāñ bhulā.e hue
mire savāl vahī TūT-phūT kī zad meñ
javāb un ke vahī haiñ bane-banā.e hue
hameñ jo dekhte the jin ko dekhte the ham
vo ḳhvāb ḳhaak hue aur vo log saa.e hue
shikāriyoñ se mire ehtijāj meñ 'bābar'
daraḳht aaj bhī shāmil the haath uThā.e hue