Jai Prakash Ghafil

kanar-e-dariya junun-e-tufan har ek gauhar ki aab main hun

Jai Prakash Ghafil

kanār-e-dariyā junūn-e-tūfāñ har ek gauhar kī aab maiñ huuñ
baġhair mere sabhī haiñ paanī ki maujoñ kā iztirāb maiñ huuñ
ye vaqt kā be-karāñ samundar maiñ us kī had tak pahuñch na paayā
girā thā sāhil pe TuuT kar jo huā thā jo ġharq-e-āb maiñ huuñ
na jaane kyā hai ki merī hastī kisī kī āñkhoñ kā mai-kada hai
subū bhī maiñ huuñ huuñ maiñ hī saaqī ayāġh maiñ huuñ sharāb maiñ huuñ
tire karam kī kiran ne mujh ko uThāyā pastī se āsmāñ par
kabhī ye shak āftāb maiñ huuñ kabhī gumāñ māhtāb maiñ huuñ
jahāñ nahīñ thā vahāñ bhī maiñ thā tū dekh kar bhī na dekh paayā
kalām bhī maiñ sukūt bhī maiñ savāl maiñ huuñ javāb maiñ huuñ
usī ne har shab kī sub.h kī hai har ik diye kī vo raushnī hai
kabhī mujassam bhī ho ke kah de ki dekh terā hī ḳhvāb maiñ huuñ
Top Urdushayar.com