Anwar Feroz

shikasta-pa hi sahi dur ki sada hi sahi

Anwar Feroz

shikasta-pā hī sahī duur kī sadā hī sahī
bikhar gayā jo havā se vo naqsh-e-pā hī sahī
ye hukm hai ki ga.e mausamoñ ko yaad karūñ
na.ī rutoñ kā tajassus mujhe milā hī sahī
zamīñ ke ba.ad abhī āsmāñ ke dukh bhī sahūñ
mire liye ye sazā hai baḌī atā hī sahī
charāġh kah ke mirā nuur mujh se chhīn liyā
charāġh phir bhī rahūñgā bujhā huā hī sahī
sajā liye haiñ masā.ib ke niir āñkhoñ meñ
sukūñ kī niiñd nahīñ hai to ratjagā hī sahī
ai dhaḌkanoñ ko nayā nuur baḳhshne vaale
maiñ nuur se hī tahī tū mirī ḳhatā hī sahī
haqīqatoñ ke badan par koī labāda nahīñ
agar ye sach kī sazā hai to phir sazā hī sahī
ye dil kā karb laboñ tak kabhī na aa.egā
mire liye ye ḳhamoshī kā irtiqā hī sahī
jahāñ ke dard ko 'anvār' ne sameT liyā
maiñ ik ḳhushī kī tamannā meñ mar-miTā hī sahī
Top Urdushayar.com